Showing posts with label adopted. Show all posts
Showing posts with label adopted. Show all posts

Thursday, 13 June 2013

Karan Johar to become a Father

Film director Karan Johar jo ki hali mai 41 saal ke hua, ek baby adopt karna cahete hai. Unhe shaadi karne ki koi jaldi nahi hai, lekin unka ye sochna hai ki vo ek pita banneke liye ready hai. Unhone recently ek interview mai kaha ki kuch samay se unko baby adopt karne ki ichha thi. Unka ye kehna hai ki agar kal vo kisi karan mar jate hai to unki company ko aage le jane wala bhi yo koi hona cahiye. 
Unki family mai aab sirf vo aur unki mom baki hai, unnhe apni family aur company ko aage badane wala koi waris chahiye. Unki Ma unke iss decision mai unke saat hai. Karan ka kehna hai ki unki mom India ki sabse progressive women mai se hai aur vo unke decion ko respect karti hai. Karan aur unki Mom milke usse adopted baby ko wonderfully bada karneki chah rakhte hai. Vo aab fatherhood nibhane ke liye puri tereh se ready hai. Chaliye Karan, aapki is noble cause mai hum bhi aapke saath hai. 
All the best.

Priyanka Chopra adopted a lion


Suune mai aaya hai ki Priyanka Chopra ne naya shauk pal rekkha hai. Pichle sal usne ek Durga naam ke Tigress ko Ranchi Zoo se adopt kiya tha. Yaaneki Durga ke khane pina aur dekhbal ka pura kharcha PC ne ootaya tha. 
Aab is saal usne ek aur "jungle billi" ko adopt kiya hai. Par is baar tigress ke badle lioness ko adopt kiya hai. Ye lioness Sundari naam se jani jati hai aur use Birsa Munda Zoological Park, Ormanjhi me rakkha geya hai. 
Pichle saal hi zoo authorities ne iss anokhi scheme ko introduce kiya hai. Iss scheme ke anusaar, aap kisi bhi animal ko 1 se 11 sal ke liye adopt kar sakte hai aur jo rakam jama hogi iss adoption se, vo uus animal ke dekhbal aur khane pine par kharch ki jayegi.
PC ne Sundari ko 1 saal ke liye adopt kiya hai.